Samsung android mobile phone charging fault solutions kaise repair kare .




  Hii dosto , ajke topic me hum janege “ samsung mobile phone charging fault solutions kaise thik kare” so jab bhi aapke paass koi bhi samsung company ka mobile phone chrging fault lekar ata hai tab aapko kaise us samsung mobile phone ko repair karna hai uske bareme aj mai aapko is post me details me batane vala hu.


Jab bhi mbile phone me charging e related fault ata hai tab mobile phone me pcb per jo componts lage huve hote hai unme bhi fault ho sakata hai ya fir samsung mobile ka ka jo charging connector hai vo bhi dead ,crash ya kharab ho sakta hai so usko kaise check kare or chrging connector ka full work aj mai aapko is post me batane vala hu.


So chaliye dosto jada der na karte huve aj mai aapko samsung obile phone me se charging fault solutions ko kaise repair kare ki puri deatils me janakri dene valahu isliye mere likhe huve sabhi points ko read kare .



Samsung mobile charging fault solutions .




1.     So sabse pehle mobile phone ko open karle display connector , rf cable ,touch screen cable ko remove karde . ab aapko mobile phone ke charging connector ko trace karna hai so kaise tracing karege uske bareme aj mai aapko batane vala hu

 so mai niche image me chrging connector ka diagramm de raha hu usko dekh kar aap samj sakte hai ki connector kaise wrok karta hai or uski design kaisi hai  image ke sath sath mai aapko charging connector ke bareme detail me bhi batane vala hu maine likhe huve point ko dyan se read kare.


ALSO READ :

*mobile phone ke charging fault solutions kaise thik kare

**

2.      Sabse pehle mai aapko charging connector ka design batane vala hu ki kaise mobile phone me work karta hai. Charging connector ke piche jo 4 6 point hote hai unmese jo last vale point hote hai jaise plus or minus   jinko hume check karna hai so left side me jo point hai vo plus vala hai or jo right vala hai use minus kaha jata hai or us point ko check karne per 5. 7 se uper reading show hoti hai .agar un point me 5.7 volt se uper reading show nahi hoti hai to aapke mobile phone ka chrging connector hi faulti hai.


3.      So ab dekh lete hai ki mobile phone pcb me chrging connecotr work kaise karata hai or kon konse componts part lage huve hote hai . jaise capacitor ,diaode ,coil aise componts lage huve hote hai so niche point to poitn dekhte hai khaskar mai aapko samsung mobile phone ka diagramm design ke bareme batane vaala hu jo dusre company ke mobile hote hai usme design alag hoti hai magar componts vahi lage hote hai or work bhi same hota hai.


charging fault repair karna sikhe




4.     So jo charging connector ka plus vala point hota hai us point ko multimeter se check karne per meter me 5. 7tak voltage ana chaiye or us plus vale point ko aage le jane ka kaam ek filter  fudge  karta hai uske baad ek coil laga di jati hai plus vale point me se ye connect rehte hai . coil me se hote huve direct sidhe coil ki supply  charging regulator ic me di jati hai . jo supply 6 volt ke rup me transfer ki jati hai charging ic me.


5.     Kisi mobile me chrging ic ko power supply se connect kar diaya jata hai maltab design alag hota hai magar work same hota hai isliye agar koi mobile phone me chrching ic na ho to power ic ko bhi check kar sakte hai. Jab plus vale point se supply hote huve ic me jati hai tab kai company filter ke liye capacitor,diaode ya coil fudge ka bhi use karte hai or kahi aise bhi mobile phone companies hai jo koi bhi compont ka use nahi karit hai or sidhe power supply ic me diya jata hai tab aapko mobile phone ko trace karne me dikkhat aa sakti hai. 

Jab koi mobile phone me charging connector ko sidhe ic se connect kiya jata hai or us mobile me koi compont nahi lahe ho tab aap power suppply ko hi change karde.

ALSO READ :
   *kharab dead battery ko kaise check kare or repair kare


    *computer ke restart probles solutions kaise thik kare

   *computer on problems solutions guide


6.     Charging fault me capacitor kya kaam karta hai jab hum kabhi dublicate charger kobile phone ko lagate hai jaise maan lijiye aapke pass samsung company ka mobile phone hai or us mobile ko aap asus mobile,ipohne ,gionee, lava,oppo mobile phone ke charger charging ke liye use karte hai tab jo capacitor laga huva hota hai tab mobile me koi bhi charger lagane se  koi error na aye is liye capacitor ka use kiya jata hai.


7.     So jab aapke pass koi aisa charging fault ata hai  jab aap charegr mobile phone se connect karte hai or jo charging ka light hai iamage hai vo off ho jata hai tab aise fault ko kaise repair kiya jata hai kaise check kiya jata hai jaise maine apko abhi bataya hai ki jab aisa fault ata hai ki chegre lagate hi mobile light off ho jata hai tab jo hamare mobile phone me 

charging connector ka positive point hai usme hi shoart hai aisa maan kar chalna hota hai or us fault ko un part jo pcb body me charging diagramm me lage huve hote hai unko check karna hai so aaiye dekhte kone secomponts ko check karna hi or konse part meter me kitani value show karte hai.


8.     Charging fault me charging connector, charging regulator ic, capacitor ,diode,fudge,ya jo filter capacitor hote hai vo bhi kharab or dead ho sakte hai.so aaiye dekhte unko kaise trace kiya jata hai.



9.        Mere pass ek samsung company andorid mobile phone hai jisake bareme mai aapko bata raha hu magar aap is diagramm ke jariye in point ko read karke kisibhi company ke mobile phone ko trace kar sakte hai or repair kar sakte hai.


10.                         Jo charging connector hai uska jo plus vala point hai vo ground se jud jane se bhi aise fault hote hai jaise charger lagane per mobile ka jo image hai light hai logo hai vo off ho jata hai or mobile phone ki battery bhi charge nahi ho rahi hai or chargeing indicate nahi ho rahi hai tab apko paralall part ko check karna hai so chaliye dekhet hai konse part kaise work karte hai.


11.                         * so aap image me dekh sakte hai  jo connector ka plus vala point hai usame 2 part lage huve hai jo ek  juna diaode hai or white color me capacitor hai. So in part me fault hai ya nahi ye dekhna hai so chaliye multimeter ko le lijiye beep ki range me set kare red probe ko ground kare ek black probe se capacitor ka ek sira check kare ab maine check kiaya hai so mere is samsung ke mobile phone me capacitor ko check karne per meter me dono side se beep ki awaj aa rahi hai iska matlab hai capacitor y koi paralall part hi short hai . 
charging fault repair all mobile guide



 note : jab koi bhi capacitor dono side se beep karta hai tab hamko maan lena hai ki capacitor hia faulti hai kyuki capacitor ko meter me check karte samay ek side se value show honi chaiye or ek side se beep ki awaj ani chaiye tabhi aapke mobile phone me jo capacitor laga huva hai vo sahi hai usme koi fault nahi hai.


12.                        *  maine abhi capacitor ko check kiya hai so dono side se beep aa rahi hai isak matlab aisa nahi samj na hai ki capacitor hi kharab hai aisa bhi ho sakta hai ki koi uske aage ka part hai jo ki short ho gaya hai or uske wajah se bhi capacitor ya diode ya coil short bata rahi hai so ab pata lagana hai ki main konsa part short hai so chaliye .




13.                        *so ab kya karna hai jab bhi koi charging fault ata hai mobile phone me tab aapko  sabse jada doubt  juna diode  per hi karana hai kyuki charging fault me jab voltage regulator hokar supply kiya jatahai tab 5.7 se jada voltege diode me se pass hota hai tab diode bhi short ho jata hai isliye ab hume sabhi paralall part ko ek ek se remove karke dekhana hai aap  smd mashine ke jariye  jo charging design me part lage huve hai unko smd mashine ke jariye remove karde.


14.                         * sabse pehle  jina diode remove karde kyuki jadater juna diode me hi fault aa sakta hai.so chaliye ab mai maan leta hu ki aapne diaode ko remove kar diya hai . diode ko remove kar deneke baad firse meter ko beep ki range me set kare or capacitor ko check kare maine yaha per check kiya hai abhi bhi capacitor beep ki awaj de raha hai iska matlab hai ki diode ko remove kar dene per bhi short nahi nikalta hai tab konse part
ko check karna hai.



ALSO READ :    *samsung mobile phone mic fault solutions kaise repair kare
   *SMD MASHINE hot air gun ka use mobile phone repairing me kaise kare
     *mobile phone ,smartphone keypad fault solutions.



15.                        * so dioade nikalne per bhi  short nahi jata hai tab aap capacitor ko bhi pcb se remove karde .abcapacitor ko remove karne per check karna hai. Meter ko beep ki range me set kare or aapne jaha se capacitor ko remove kiya hai uske niche aapko 2 point dikhai dege abhi ek probe ko ground karna hai or un 2 point ko meter se check kare so dekhiye maine yahaper check kiya hai so abhi ek side se meter me reading ,value show ho arhi hai 


or ek side se beep ki awaj aa rahai hai isaka matlab hai hamare chareging fault me capacitor hi fault hai so jab aap mobile ko chrging se laga te the tab charging indicator light off ho jata tha or charging bhi nahi hoti thi so ek capacitor ki wajah se itani problems aa rahi thi so hamare diode ka koi bhi fault nahi hai soaap remove diode ko firse pcb me laga dijiye
meter me value check kare






16.                        * agar aapke paas koi or new same aisa hi capacitor laga dijiye agar nahi bhi lagate hai to aapka charging indicator show ho jayega .






                   So dekha dosto jo aapke mobile me “charging image cell jaisa indicate nahi ho raha tha ab mobile ko chrger lagakar dekhe charging indicate show ho arah hoga  so aise fault ko kaise rapair kiya jata hai uske bareme maine aapko detail me jankari di hai or mai ummid karta hu ki aap hamare site ke post Article ko jarur share karege 

site ko like jarur kijiyega or subscribe karna na bhule aapke liye aise “ mobile phone ki charging fault solutions kaise repair kare “   ki jankari share karte rahege or ha hamare sabhi post upadate kiye ja rahe hai so dubaara hamare article read jarur kare. Thanks for read this post......