Hii friends , ajke topic me hum janege 'mobile phone ,smartphone ke keypad fault solutions ko kaise repair kiya jata hai'  jab kisibhi company ke mobile phone me keypad se related problems ati hai tab us fault ko solve kaise kiya jata hai uski janakri aj mai aapko is post e dnewala hu . jab mobile ka ek key ya koi bhi key kaam nahi kar rahi hoti ya mobile ke kuch keypad work karte hai or kuch keypad work karna chod dete hai ,ya fir pura keypad pad key body hi kaam nahi karti hai dmage ya short ki wajah se aise problems ate hai aise keypad problems solutions ko kaise repair kiya jata hai kaise trace kiyajata hai uski janakri aj mai aapko batane vala hu so is post ko carefully read kare.
      Aj mai aapko keypad se related sabhi fault ke bareme poin to poin sikhane vala hu agar mobile phone me koi bhi key ya keypad work nahi karta hai to un keys ko kaise trace kiya jata hai unke connection kaha se kaha tak lage hote hai. Sabhi jankari aapko is post me di jayegi. 
keyapd ko kaise repair kare


                          So aksar keypad key problems kaise ati hai mobile phone ke andar or use” kaise solve kare ki puri detail me jankari aapko mil  jayegi”  mobile ki keypad problems tab aati hai jab aapka mobile water me yap anime gir gaya hao ya tea me bhi gir jata hai magar jadatar problems water ke vajah se hi hote hai . ya fir aapka mobile kahi gir gaya ho ya aapke poket me mobile ki keypad dab gayi ho,ya fir un key button ka use bahut hi samay se use ho rahe hai ,ya vo bahut old ho gaye hai ,keypad par carbon ,jung  lag gaya ho tab aise problems aate hai aise bahut tarike hai problems aneke agar puri list batauga to night ho jayegi.so ab “mobile ke keypad ko repair kaise kare” isake bareme jaan lete hai .


 “Mobile phone ke keypad repair solution,”keypad solve problems”.

1.      So sabse pehle to mai aapse kehna  chauga ki aap sabse pehle mobile ko dyan me rakhkar khole chahe vo “mobile phone” kisibhi company ka ho .
2.      Mobile ko open karne ke baad keypad ke uper ke jo rubber ke button hai une nikale or maine jaisa photo me bataya hai ki usake neeche jo tambe jaise hai coper ke button hai gol(circle) unko sabse pehle dekhe .
keypad
isis tarah aapke keypad ke button hote hai isliye maine aapko ek hi keypad ka arroe bataya hai taki aap samaj sake .
3.      Ye bhi dekhe ki un button no par kahi carbon to nahi laga huva hai ya fir kahise keypad ka connection to tuta huva nahi hai ye aap sabse pehle dekh check karle.
4.      Ab agar aapke mobile ka 1 button yanaek  1 keypad  button work nahi kar pa raha hai to jo maine uper photo me gol button bataya hai use aap
5.      Twizzer ke sahayata  se  crash kare matlab use khise twizzer se ya kisi or upakarn se or ha jo tambe jaisa dikhai deta hai use hi khise ,crash kare varna vo button kharab bhi ho sakti hai .
6.      Jo mobile ke keypad par ka button work nahi kar raha hai usi button ko crash kare verana problems or bhi bad sakti hai .

ALSO READ: 


 * mobile ke keypad ko repair karneka dusara way.”

1.      Agar use baat nahi ban rahai hai to aapko ctc ka pani ,ya ip ka pani ise English me  ip address  kehte hai ye pani ko keypad par dale or brush ke jariye saaf karle .acchese saaf kare.
2.      Ise kya hoga ki keypad ke button par job hi carbon hoga vo nikal jayega or keypad kaam karna suru kar dege .
3.      Jadatar keypad ko khisnese or crash karne se hi problems solve ho jate hai .
4.      Agar firbhi keypad work nahi kar rahe hai to keypad ke connection ko check kare  keypad ke connection uper se hote hai display ko lag kar.
5.      Agar kahi connection tuta huva hai to use jumper karle .jumpar karne par keypad work karne lagege .
6.      Agar firbhi problems solve nahi ho rahi hai to aapko new keypad khridne padege or jumper ke jariye ya aapka mobile ka job hi connected icis hai usame connect kare.
7.       Aapko ye trick kaam me aa jayegi or mai bata du ki mai bhi aise hi work karta hu or 90% kaam aise crash or carbann ko saaf karne se jariye hi solve ho jati hai .  
agar uper ke bataye tarikese problems solve nahi hoti to  niche ke step ko follow kare .


#


 Mobile phone ke keypad problems solve solutions kaise repair kare.

     
 Mobile phone me koi bhi keypad work nahi kar raha hai aise fault ko kaise repair kare.

1.  Jab aap mobile phone se battery connect karte hai or mobile phone apne aap hi on ho jata hai or kkeypad press karne per bhi koi keys work nahi karti hai tab aapko mobile phone ko open karna hota hai.

2.  Upper bataye point ke nusar agar aapke mobile me fault hai to jadater ye fault power switch key ka hota hai yaneke red on /off swtich ke wajah se bhi aise fault ate so chaliye sabse pehle mobile ko open karle.

3.  So jab koi  bhi mobile battery lagane se apne aap on ho jata hai tab power switch ko check karna chaiye jaise maine aapko pichle post me bataya tha ki mobile ke 'mobile phone ke auto restart problems kaise solve kare'

4.  Sabse pehle multimeter ko le uske bad multimeter ko  beep,buzzer  ke range me set kare . ab mter ka ek sira grounds se connect kare or ek sirese keypad ke row or colums hai unko check karna hai.

5.  Check karne se pehle jo keypad per uper patta laga huva hota hai usko remove kr dena hai hata dena hai.

6.  Meter ko set karne ke baad red probe ko ground se connect kare or black probe se row or columns ko check kare .keypad ka ek sira gorund hota hai so usme beep aati hai or ek sire me value show karta meter me reading show hote hai .
mobile short capaciter

7.  Keypad ke andar jo ek keys hai red button usme jo gol circle me andar vala bhag hai use  row kehte hai. Or jo bahar vala bhag key ka usse columns kaha jata hai .   columns yaneke gorund se connect rehta hai jisame beep ki awaj ati hai or jo bahri row hai usme reading show hoti hai agar row me beep nahi ati hai to ground se connect kare problms solve ho jayegi. Magar columns me agar reading show nahi hote hai tab aapko 
 proccessor management ic ko  check  karna hota hai.

8.  So jab mobile ki koi bhi keys work nahi karti hai tab aise problems ko solve karne ke liye power switch ko check karna hota hai .so mere pass keypad ka samsung mobile hai jisame columns per value nahi show ho rahe hai. Colums me  250  ke uper raeding meter me show honi chaiye agar nahi hoti hai tab aapko paralall part ko check karna hota hai jaise ki red button power key proccessor ic se juda huva rehata hai.or ye kaise work karta hai mai aapko niche bata raha hu.

9.  Processor ic me se power resistance me supply ki jati hai , uske baad ek capaciter se hokar red power key me ati hai uske baad ek coil me power jati hai jo ground hoti hai . 
keypad solutions
so isme hi jo power processor ic me work ho raha hai componts lage huve hai unko check karna hai.agar koi bhi part falti lagta hai to usko replace karna hai or uske jagah new capaciter ya resistance ya coil lagani hai.

10.          So aap upper image me dekh sakte hai ki kaise proccessor management ic work karti hai row se hote huve power supply siddhe coil me jati hai jo sabke last me ground ki huvi hoti hai. Matlab jo hamara columns hota hai vo direct gorund nahi hota hai usko coil ke jariye ground kiya jata hai .

11.          Ab un part me se resistance coil ya capciter kharb short ya link ho sakte hai so jo part pehla check karna hai sabse pehle capaciter per shak kare kyuki mobile me jadater problems capaciter ke shorting ke wajah se hi ate hai isliye sabse pehle capaciter ko remove kare ab red button ki reading meter ke jariye check kare . agar reading show hoti hai to mbile ke sabh keypad sahi ho gaye . mere is mobile me capaciter fault tha to ye mobile phone repair ho gaya hai . agar capcciter remove karne per bhi problem solve nahi hoti to resistance ko remove kare or new replace kare agar firbhi keypad problem solve nahi hoti hai to coil ko change kare keys se ralated problems solve ho jayegi.

12.         Ab mobile phone ko open kare . so maine pehle apko batay tha ki battery lagate hi mobile on ho jata hai or koi key owrk nahi kar rahi hai so ab check kare ki problems solve huvi hai ya nahi iam sure aapke mobile ki keypad problem soslve ho jayegi.
13.          Agar firbhi sabhi part ko change krne per key work nahi karti hai to power supply ic ko change kare keys problem, s solve ho jayegi.  


Mobile me jab koi 1 keys ya 2 work na kare tab aise keys problems ko kaise repair kare .


1.  So maine aapko uper  ek badiya way batay hai keypad ko repair karne ka magar jab mobile phone me koi ek kyes work nahi karti hai tab aapko kaise check karna hai or jumper ke jariye problems ko solve karna hai.

2.  So chaliye maine  photo me bataya hai ki keys  konse key se jude huve hai  or aap kaise jumper kar sakte hai.
mobile kypad jumper ways

3.   So multimetr ko le ab meter ko buzzer ,beep ke range me set kare ab red probe ko kahi ground karna hota hai to hum is fault ke liye meter ka red power switch ka use karege  red probe ko red button per jo  row or columns hai  usmese jo bahar ka sira hai jo ground hota hai usper red probe lagaye oe black probe se sabhi button ko check karna hai.

4.  Jab aap black se row or columns ko check karte hai tab unme meter me 250 ke uper reading show honi chaiye agar 250 ke niche reading show hoti hai to maan lena hai ki us row mw lihkij cuircuit problems hai.

5.  So maan lete hai aapke mobile me koi ek button work nahi kar raha hai sabhi buton ko check kiya or ek button work nahi kar raha hai to use kaise check kare repair kare ki step by step guide niche follow kare.

·        Red probe ko red button ke columns per lagaye or black probe se sabhi row colum check kare jo anadr ka point hai or jo bahar ka poin hai unme sabhi keys me reading show hoge jis keys me raeding show nahi ho arhe hai mann lena hai ki vo key faulti .

·        So aap uper ke image me  dekh sakte hai ki row or columns kaise konse keys se jude huve hai or aap jumper wire ke jariye une jumper karke ek key na work kare to use jumper ke jariye kaise repair kiya jata hai yaneke aapko jo row or columns work nahi kar raha hai usko dusre keys ka volt lekar connect karna hai matlab uski supply bhi jo band kkeypad hai ustak pahochegi or keypad work karne lagegi.

·        Maan lete hai  aapke mobile ke keypad me koi ek button work nahi kar raha hai jaise 7 button le lete hai .  so image me dekh sakte hai maan lete hai aapke 7 button ka jo bahar ka point hai jisse colums kaha jata hai vo work nahi kar raha hai. Ab isko meter se check karne ke baad  reading na aye to jo image me maine keys kahase kaha judi huvi hai uske bareme bataya hai . so 7 ko aap iron ki help se * button ke colunms ke bahri point se ek jumper or ek 7 bahari columns per kare . yaneke * me jo reading aa rahi hai uski reading ab 7 button me bhi aa jayegi.

·         Is tarha se ap koi bhi keys ko jumper karke keys fault solutions repair kar sakte hai. So maine aapko 3 ways bataye hai jisake jariye aap koi bhi keypad vale mobile phone ko asani se repair kar sakte hi mobile ki problems ko solve kar sakte hai.




I hope ki aapko hamare @ keypad problems ko kaise solve repair kare,(keypad solutions)  ye post jarur acchi lagihogi or aap hamare site ko subscribe kare , muje ummid hai ki aap haare article ko socail media per jarur share karege  thanks for read my article ... 




Thanks for read my tutorial ..... 
tag:
  mobile keypad ,repair mobile keypad,
dead mobile phone repair,
dispaly repairirng,