Hot air gun (smd ) mashine ka use mobile phone repairing me kaise kare .




        Hii dosto ,ajke topic me aapko sikhaya jayega ki hot air gun (smd) ko kaise use kiya jata hai kaise istemaal kiya jata hai .mobile repairing me sabse important hota hai  hot air gun  ka istemaal karna .agar aap smd mashine ka use sahi tarikese nahi karte hai to aapke mobile me dead fault

 solutions bhi aa sakta hai ya koi bhi pcb part damage ya short ho sakta hai isliye aj mai aapko “ smd mashine ka istemaal kaise kare “ ki puri jankari is post me batane vala hu .so is post ko carefully read kare aapko aise hi mobile repairing ke bareme hum tutorial share karte rahege koi bhi problems aye to aap hamare site per comment kar sakte hai .
smd mashine ka use mobile part kadne or nikalne ke niyam



                    Humne pichle post me aapko mobile repairng ke bareme bahut se post share kiye hai jaise ki

“mobile phone ke dead fault solutions ko kaise repair kare ,mobile ke display fault ko kaise tik kare,mboile ke keypad problems kaise repair kare,mobile tools jankari,mobile hangproblems solutions,mobile light problems solutions,mobile phone speaker problems solutions ,mobile camera problems solutions ,mobile ki dead battery repair solutions “ 

 aise bahut sare post aapko share kiye hai ic problems solutions sabhi mobile repairng ke bareme aapko sikhaya jayega so ajke topic me hum dekh lete hai  “hot air gun ka use mobile repaiaring ke liye kaise kare “

Smd mashine ka use mobile repairing me kaise kare .


1.     Smd amshine ke help se mobile ke part utarna or lagana bahut hi asan hota hai isliye hume smd mashine ka use mobile repirng me karna chaiye iske bina aap is reoair ya koi bhi small part ko mobile se utarna hai kadna hai to aap smd ke jariye nikal sakte hai or laga bhi sakte hai .

2.     Smd mashine  ka use karna bahut hi asan hota hai magar hot air gun ki jankari ke bina aap ise use karege to mobile me bahut sa uksaan bhi hota hai . isliye aapko mobile repairng me smd kause kaisekiya jata hai uski pri jankari hona bahut jaruri hai isliye is post ko carefully read kare .



3.     Mobile ke pcb me jab koi water ghus jata hai ya water damage mobile phone ko hit dekar mobile ko dry karneka kaam smd mashine karti hai isliye is hot air gun ko  resoldring mashine bhi kehte hai .jab koi mobile panime gir jaye to ctc liquid se ya thinner liquid ka use karke pcb per pura faila dete hai or hot air gun ke jariye hit dekar water damage mobile repair ho jate hai jo humne iski bhi post batai hai aap read kar sakte hai.


4.     mobile kke part kadte vakt smd mashine ka use bahut savdhani se karna chiaye kyuki mobile kke kisibhi part pe jada hit ho jati hai to mobile hamesh ke liye dead ho sakta hai ya mobile ki ic bhi kharab ho sakti hai .isliye smd ke rules ko read kare.

5.     Agar aapko hot air gun ka sahi istemaal sikhna hai to aapko koi dead mobile phone ki pcb body ko lena hai or us mobile phone ke part ko utarkar dekhe firse lagkar dekhe aise hi ap practicle ke jariye smd mashine ka use karna sikh sakte hai agar aapko mobile repeiring me intress hai

 to aap koi bhi dead mobile ko le or uske part ko nikale or utare is tarah aap hot air ka sahi istemaal karna sikh jayege smd me part nikalneke liye kitane hit ki jarurat hoti hai air kitne value per set karna hai in sabhi jankari aapko rehna chaiye uske baad aap smd ka use bahut hi easily kar sakte hai .

6.     Ap niche ke images me dekh sakte hai ki hot air gun per power on off  button hai use on karne per aapki smd mashine on ho jayegi .magar ek baat ka dyan rahe ki jab aap hot air gun ko on kare tab smd ke use ke turant baad hi use band kar de .kyuki smd ke andar heater laga huva hota hai . 

agar aap hot air gun ka use nahi kar rahe hai or use vaise hi chod dete hai to kuch samay baad hot air gun kam karna chod deti hai .yaneke work nahi kartti hai isliye istemaal ke turant baad hi hot air gun ko band kar de .

7.      Niche aap image me dekh sakte hai hot air gun nozel  iske andar hi hiter laga huva hoat hai jiskejariye hum mobile phone per ke part ko laga sakte hai utar sakte hai .or is nozel ke jariye hit or air bahar nikali jati hai .jo nozel aap dekh rahe hai uske aage ke
smd mashine ka use kaise kare
sire per barik small nozel ka hi use karna behtar hota hai kyuki mobile phone ke pcb per chote chote part hote hai or une nikalne ke liye hume hot air gun ki barik nozel ka hi istemaal karna chaiye jisse mobile pcb ke part sahise nikal sake .



8.     Jab aap mobile ke pcb per se koi part ko utare tab hot air ki nozel ka fasla different yaneke mobile ke pcb se uper 2 se 3inch uper hot air ki nozel ko rakhe tab jake aap asani se koi bhi mobile ke part ko nikal sakte hai. Nizel ko jada najdik lekar na jaye jisse mobile ke part kharab bhi ho sakte hai or jo pcb part utarna hai usper hi hit de idar udar hit na de verna part kharab honeka khatra rehata hai .

9.     Jab aap mobile ke ic ya koi bhi part ko utar rahe hote hai tab aapko smd mashine ke nozel ko move karte rehan hai matlab ek jagh per nahi rokna hai use thoda thode gol ghumate rahe taki ic kharab na ho agr aap nozel ko ek jagah per use karte hai to  aapki ic ya koi or part bhi kharb ho sakta hai isliye nozel ko move karte rahe .

10.                        Ab aap image me dekh sakte hai hot air gun me air ko control karneka kaam aap air adjuster ke jariye kar sakte hai .jab aap koi part mobile kepcb se nikalna chahe to air ko  4 se 5 adjuster per set kare . jab koi part mobile pcb per lagana hai tab 2 se 3 tak air ko set kare taki mobile me part sahise lag sake .
hot air gun ka istemaal kaise kare



11.                         Jab aap hot air ko on karte hai or uske baad band karte hai tab smd ke nozel se air hit thodi der ke liye on hi rehti hai use adjuster karne ke liye nozel ki aage jo barik tips hoti hai use age khich le use jo air andar rukhi huvi hai baher nikal jaye.or hot air gun ke nozrl per haat na lagaye kyuki vo bahut jada garm hoti hai.

12.                        Ab air ke side me hi heater adjuster hai image me dekh sakte hai us buton ko heater adjuster  kaha jata hai .is button ke jariye hum temrature ko adjust kar sakte hai .jab aap koi part niklna hai tab aap ise 4 se 6 tak set kar sakte hai .jab part lagana hai tab aap isko 4.5 tak ya 4 se 6 tak set kar sakte hai .


agar mobile pcb me bahut jada small part hai tab use nikalneke liye 3 se 4per heat adjuster ko set kare .smd mashine ko jada temprature set na kare verna mobile ke pcb ke part kharb hone ka khatra rehata hai .
how to use smad in mobile repairing solutions



13.                        Jab aap hot air gun ko on kare tab  heater ka adjuster ka light bligking hota hai  band chalu hota hai or  air adjuster  only light chalu rehta hai .

14.                        Aap hot air ka use asani se kar sakte hai heater adjuster ko hand perlagaker dekhe ya aap eyes ke jariye bhi dekh sakte hai ki temprature kitna huva hai or kitna rakhna chaiye .


15.                        Aap hot air gun ka use tab sahi tarikese sikh sakte hai jab aap mobile part ko practically nikale or lagaye .

16.                        Jab aap hot gu ko off kar dege tab heater ka light to band ho jata hai magar  air adjuster  20 se 25 second tak chalu rehti hai taki aapke heater ke nozel ko thanda (cold) kar sake .

17.                        maan lijiye ab hume mobile phone se ic ko utarna hai bahar nikalna hai to to hame hot air gun ko on karna hai uske baad air adjuster or heater ko sahise set karna hai uske baad hi mobile pcb se ic ko remove kare .hot air gun ko 3 se 4inch ke uper rakhna hai taki jadahit na lage mobile pcb pe.ab hot air gun ke nozel ko move karte rahe ek jagah per set na rakhe uske baad ic garam ho janeper twizzer ki help se ic ko baher nikalna hai .


18.                        jab aap koi mobile me new ic laga rahe ya koi bhi part jaise crystel,cpapciter,diode,fudge,resistance,mobile battery connecter,display connecter ko jumper karna,camera ko jumper karna,ic nikalna,ic bitana,sim slot ko hit dekar nikalna,mic ko nikalna lagana,speaker lagana nikalna,aise koi bhi part aap jab mobile pcb per se utarna hai ya nikalna hai to sabse pehle is bat ka dyan rakhe ki us part per aapko peste lagana  hai mobile ke componts per part per paste lagana na bhule taki achese ic nikal sake.

19.                        So aap is tarh se koi bhi mobile ke part ko utar sakte hai or nikal sakte hai .agar aapko koi bhi problems hai to aap niche comment karke humse sawal puch sakte hai i am sure aapke sawal ka jawab 12 hours ke andar diya jayega .

i hope dosto aapko hot air gun ki jankari achese ho gayi hogi is post me or bhi update karte rahege aise hi mobile repairing ke bareme aapko jankari share karte rahege hamare site ko subscribe kare,like kare or article ko share kare  tabtak ke liye jayhind ,jaybharat, thanks for read my tutorial... 



tag “ mobile phone repairing me hot air gun ka use kaise kare “


     “mobile se part nikalne or lagane ke liye smd/hot air gun ka istemaal kaise kare.”