mobile charging fault solutions kaise repair kare.

      

         hii friends , aj mai aapke liye lekar aya hu charging fault solutins kisisbhi company ke mobile phone ke kaise charging fault ke liye repair kare or kaise ek accha technishion bane uske bareme aj mai aapko batane vala hu. mobile ke charging fault ko rapair karte samay bahut bato ka dyan me rakhna hota hai mai aj charging fault solutions ke bareme isliye pura deatails me bata raha hu ki chetan ji ne  muje sawal kiya tha ki jab maine charging connecter ko mobile phone se lagaya tab us mobile phone me charging to show ho arahi hai magar us intex mobile me network fault detect kar raha hai. yaneke sim interface me problems a gayi hai .so aj mai aapko chaging fault ko kaise repair kare ,kaise ek accha mobile repaiaring technician bane uske bareme full guide deatils me batane vala hu.




     hamare site me bahut se article hai jinko read karke aap ek achhe technician ban sakte hai .hamare kai mobile repairing ke bareme article hai jaise mobile ke display fault solutions,mobile camera fault solutions,mobile charging fault solutions,mobile phone mic fault solutions,mobile speaker solutions,mobile battery fault solutions,mobile hanging fault solutoins,mobile ko dc power supply se kaise reapir kare solutions,dead mobile phone repair solutions,memry card currupted solutions,laptop repair solutions,mobile phone ic problems solutions, aise bahut sse post humne is hi blog me kiye hai aap article read kare or mobile repairing course free me sikhiye. so chaliye aapko bata dete hai “ mobile phone ke charging problems solutions ko kaise repair kare” .

how to solve mobile charging fault solutions.


1.  sabse pehle apko dekhna hota hai ki apke pass konse company ka mobile phone hai or kya aap us mobile phone ke componts ke bareme achese jaante hai or konse mobile ko kitane volt per check kiya jata hai ,mobile phone me hot testing kaise kiya jata hai ,mobile phone me cold testing kaise ki jati hai ,mobile phone ke componts ko kaise tarce kare or kaise unki pehchan hum kar sakte hai in sabhi ke bareme aapko full details hona jaruri hota hai.


2.  so mere pass ek micromax ka mobile hai jisame customer kehte hai ki is mobile me new connecter lagane per bhi charging indicater show nahi kar raha hai. yaneke new charching connecter lagane per bhi mobile charging show nahi kar raha hai. so aise problems ko kaise sahi tarikese trace kiya jata hai kaise repair kiya jata hia uski janakri aj mai apko dene vala hu is topic me mai keypad vale mobile phone ki baat kar arah hu or niche second topic bhi write kar raha hu use bhi dyan lagakar pade.

3.  so ab mai maan leta hu ki aapne mobile phone ko open kiya hai.ab aap mobile phone me battery lagaye open karneke baad pcb mobile phone me battery lagaye kyuki hume charging ke connecter ko sabse pehle check karna hai.

4.  so multimeter ko le uske baad multimeter ko 20 volt ke range me set kare ab jo aapka charging connecter hai only connecter ko baher nikale or usme fault hai ya nahi check karna hai so maan lete hai connnecter le liya hai ab multi ko bhi set kiya hai to ab multi ke 2 probe ko red or black ko charging conecter se jode charging connecter me 2 pins hai jo + or – hai uske 2 sire per probe lagaye ab multimeter me dekhe agar volt show ho rahe hai yaneke charging connecter me 5.6 se lekar 6 volt show hona chaiye. tab aapke mobile ka charging connecter sahi hai or agar volt show nahi karta hai to aap charging connecter ko change karke charging problems solve kar sakte hai.

5.  magar connecter bhi sahi hai oor charge show nahi ho raha hai tab aapko kya karna chaiye aap kaise aise fault ko repair kar sakte hai iski jankari aj mai aapko is post me dene vala hu.

6.  so sabse pehle aapko jarurat hai multimeter ki or ek iron ki kyuki multimeter ke bina aap nahi pata laga sakte hai ki konse part me kaha fault hai or konse part short hai isliye aapko multimeter ki jarurat padegi.

7.  hamne charging connecter to check kar liya hai ab maan ke chalte hai ki mobile ke cuircket (pcb) me hi koi fault hai . so aise fault ko repair karneke liye ek multimeter ko le lijiye .ab multimeter ko buzzer beep ki range me set kare.

8.  ab mobile per dekhiye aapko 2 pin vale charging point nagar aa rahe hoge un 2 point ko multi ke jariye check karna hai multi ko set karneke bad red probe ko kahi ground kar de or black probe se charging point ko check karna hai ab black probe ko lagaker dekhe usmese jo point beep ki awaj karega use ground maan lena hai ayneke – point or ab + vale per black probe ko lagaye agar usme reading show hote hai multimeter me to aapka pcb per ka vo point bhi sahi work kar raha hai magar us + vale point per reading show nahi ho rahe hai to aapke mobile ka conecter hi karab hai shorti hai.so mere pass jo mobile hai usme + vale point per reading show nahi kar raha hai to aise fault ko kaise repair kare sahi kare.

9.  jab koi bhi mobile ko charging fault ke liye check karte hai or aise problems create hoti hai yaneke + vale point per reading show nahi hota hai tab + vale point per 250 se jada reading show hona chaiye magar reading show nahi ho rahi hai iska matlab hai pcb body me hi fault hai so chaliye dekhte aise fault ko kaise repair kiya jata hai.

10.         maine aapko pichle post me bhi batay tha ki charging ka fualt hai to uske aaaspass vale part capister fudge diode jaise componts ko hi check karna chaiye tik aapko is post me bhi vaise hi method ka use karna hai .


11.         ab aap charging point ke left side me dekhege to 4 componts lage huve hai jinmese koi ek componts faulti hai inko kaise check karna hai bata deta hu or ek baad ka dyan rakhe ki koi bhi mobile ho uska circuit board only design change hoti hai baki componts sabhi same hote hai. isliye is mixromaxx ke mobile me left side me part lage huve koi or mobile me right ya uper niche bhi ho sakte hai magar aap inki pehchan achese kare fir aap kisibhi company ke mobile ko repair kar sakte hai.


12.         so is mobile me left side me sabse uper fudge hai jiska code  F se jana jata hai ,second componts tik uske niche coil lagi huvi hai, jisse hum l ke naam se jana jata hai,uske niche  v matlab juna diode hai , uske niche c matlab capaciter hai.


13.         to jo hamare charging connector hai plus or minus point usmese ek plus + vala point direct fudge me connect hota hai, fudge mese coil me power supply hota hai coil me se hokar juna diode me or juna diode me se hokar capaciter me filter hota hai abcapaciter me se hote huve sidha charger controller circiut me filter hota hai .is tarh se mobile ke componts jude hote hai ab inmese koi ek componts faulti hai jisko hume check karna hai.yh image me dekhe
fudge shoting repair mobile phone



14.         jab in gudge capaciter diode me water damage ke wajah se pani chala jata hai ya carbonn aa jata hai tab in componts per loading aa jata hai isliye ye componts short ho jate hai. so chaliye inko check karneka tarika dekh lete hai or aap is post capaciter ,diode,fudge,juna diode ko kaise multimeter se check kiya jata hai usper bhi dyan de .




15.         multimeter ko continuty ,buzzer ki range me set kare ab multimeter ke ek sire ko ground karna hai or ek probe ko fudge, diode, capaciter,lagakar check karna hai. red probe ko ground kare blck se ek ek se componts ko check kare agar continuty ,reading miter me show kar rahe hai to componts tik hai unme koi problems nahi agar kisi ek me bhi reading show ahi hote hai tab aapke mobile ke vo part short hai likhij,crash,kharab hai.


16.         so pehle part hai fudge ko check karna to ek probe ground kare ek se black probe se fudge ke dono side probe ko lagaker dekhe fudge ke dono side me reading show hona chaiye agar fudge ke ek side me bhi reading show nahi hota hai to fudge me hi shorting hai aisa samjana hai to maine check kiya hai is mobile me fudge ka hi fault hai ek side me reading show nahi kar raha hai.

17.         jab aap kisi mobile ke fudge ko check karte hai multimeter se tab multimeter ko buzzer pe set karna hai or meter ke dono probe ko fudge ke left or right se lagakar check karna hai jab aap fudge ko check karege tab meter me 0 oms ke sath reading ana chaiye. agar raeding nahi atai hai to fugde hi kharab hai.so us fudge ko change kare koi old mobile hoga jiska fudge aap mobile pcb se nikalkar dusra laga sakte hai. jadatar technician fudge ko direct kar dete hai magar kuch dino me fir vahi problems create hoti hai isliye kaam karo to perfect karo kyuki hamare vajah se kisiko bhi taklif na ho.
mobile phone repairing tarike



18.         ab maan lete hai ki aapne koi fudge liya hai or old fudge ko vahase utarna hai to soldring iron le ,  or uske help se hit dekar aap fudge ko mobile pcb se asani se nikal sakte hai or soldring iron ke jariye aap asani se fudge ko laga bhi sakte hai ya fir aapke pass smd mashine hai to aap uske jariye bhi pcb part ko utar sakte hai laga sakte hai.


19.         ab mai maan leta hu ki aapne koi ek fudge laga diya hai ab aap mobile kecharging connecter ke jo point lage huve hai unko meter se pehle checxk kare ki reading show ho rahi hai ya nahi agar show ho rahi hai to mobile charging fault solutions tik ho gaya hai ab mobile phone ko fit karde or charger lagaker dekhe aapki charging show ho rahi hogi ummid karta hu ki aapko is tutorial me charging se related janakri prapt ho gayi hogi agle post me ‘anroid mobile ke charging fault ko kaiserepair kiya jata hai ki jankari share karege.


    i hope friends aapko ye post acchi lagi hogi agar aapko kuch samj me na aye or aap chahte hai ki short me hi post likhkr aapko samjaya jaye to aap hamare comment box me suggestion de sakte hai apke liye aise hi “ mobile phone ke charging fault soultions ko kaise repair kare “ ki janakri share karte rahege tabtak ke liye thanks for read my article.



       “ keypad mobile charging fault solutions”.