Mobile phone display light solutions (anroid mobile )repair kare.




       Hii friends ,ajke topic me hum janege “ mobile phone ke display background lightko kaise repair kare ajke technical yug me mobile ki iatni jarurat a gayi hai ki 5 v class ke child ko kahe ki 5-9 + kitane hote hai to vo bhi ajakl mobile ka use karnae laga hai ya calculater ke jariye maths ke paper solve karne ki koshish karta hai tik vaise hi sari duniya me mobiel ko itna value diay aja raha hai ki kisi insaan ko nahi diaya jaayeg autna credit aj mobile phone ko diaya ja raha hai agar thodi der bhi mobile pocket me na dikhe to aisa lagata hai ki hamara humse koi root gaya hai ya kuch kho gaya hai .


   So aj mai aapko batauga jab mobile phone on bhi hota hai magar display light nahi dikhai deta mobile me phone calls ate jate hai charging bhi hota hai mobile me sound bhi ata hai firbhi mobile phone me kuch bhi nahi dikhai deta hai  only white ,blue display dikhai deta hai  so aise mobile ko kaise repair kare kaise check kare or mobile ke part ko trace karke kaise display fault ko repairing kare .

Jab kisibhi mobile me white blue display dikhai de or koi bhi mobile ho aias fault mobile ke display me bhi ho sakta hai ya display connecter me bhi ho sakta hai ,ya mobile phone ke processor ic me bhi ho sakta hai ya power supply ic se jo current pass hota hai uske wajah se bhi mobile me white blue display fault aa sakta hai .so is fault ko kaise repair kaise check kare ki full jankari aapko is post me di jayegi so is article ko carefully read kare .aaiye dekhte “  mobile ke display fault ko kaise repair kare “.


Mobile ke white blue display fault ko kaise repair full guide .


1.     Sabse pehle mai kehna chauga ki aise problems tab aate hai jab koi mobile panime gir jata hai water damage ho jata hai tab aise problems created hoti hai isliye mobile phone ko water se door rakhe or savdhani barte taki apka mobile dead na ho .

2.     So sabse pehle mobile ko tik se carefully open kare aapke pass chahe koi  bhi company ka mobile ho her ek mobile me aise hi problems ate rehate hai agar hamare bataye tips se mobile repair nahi hota hai to comment box me bataye aapki her problems ko solve kiya jayega .


3.     Mobile ke part ko tik se sambahl kar rakhe .ab aapke mobile me display light fault hai yaneke mobile ko open karne per display  me graffic nahi dikhai de rahe hai only blue black sa color dikhai de raha hai to aapko mobile ko sahise trace karna hai .

4.     Mobile open karne ke baad mobile ke part ko sahise tarce kare display fault hai to mobile ke motherboard me display connecter ke najdik pass me hi fault hota hai so sabse pehle aise hi part ko check kare jaise maan lete hai aapke mobile me camera problems hai to aapko jada door trace karne ki koi jarurat nahi hai aapko camere ke aaspass hi mobile ke part ko trace karna hai left right me capaciter ,crystel,diode ya ic koi bhi part damage ya short ho sakta hai .

5.     So hume display ke backgorund light ko repair karna hai  so aapko display connecter ke najdik me hi fault mil jayega jaise maine uper eaxample diya hai vaise hai jaise chraging problems hai to aapko charger connecter ke asspass hi part ko check karna hai vaise hi mere pass ek anroid mobile hai intex company ka jisame disply light fault solutions hai so mai yaha display ke najdik me hi part ko check karuga .

6.     So maan leta hu ki aapne mobile phone open kar liya hai aapke pass koi bhi company ka mobile repairing me aye aap aise hi kisibhi company ke mobile ko repair kar sakte hai .

7.     Ab direct aapko mobile ke display connecter ko dekhna hai tik uuske side me hi  resistance lage huve  hai .ji bahut hi small hai .
display light fault kaise repair kare


8.     Jo bich me  black color ke hai or side side me silver color hai jaise maine photo me bataya hai . so aap resitance ko bahut hi jald pehchan loge agar in resitance ya inke jagah per capaciter bhi hote to aapko une trace karna hi hai .

9.     So resitance ki pehchan ho gayi hogi .ab ek multimeter le multimeter ko  continuty ki mode  per set kare jaise humene pehle post me bhi bataya hai .

10.     Ab resistance ko dekhe agar koi resistance water damage ya kharb white color me dikhai deta hai to samaj lijiye resisstance me kharabhi hai ya vo ek resistance kharb hai .jiski value hume multimeter ke jariye check karna hai .maine uper ke image me bataya hai aap dekh sakte ek resistance water ke wajah se white ho gay haiusme value nahi show ho rahi hai .isliye use jumper karna hai.

11.     So multi ko le continuty per set kare .ab multimeter ka ek probe grounds se connect kare ek probe resistsnace se connect kare yaneke  red probe ko  ground se lagaye black probe ko resistance ke ek sirese lagaye or value check kare .


12.     Tik resistance ke side me hi silver color mr circle jaise jumper point hai or ye feature aapko ajke techniacl mobile me asani se dekhne ko milege .so multimeter ke red probe ko ground se connect kare or multi ka ek black probe ko us resistance vale side me jo silver color me point hai unko check kare sabhi point ko check kare jis point me value nahi dikah raha hai yaneke

 multimeter me reading nahi shoe ho rahe hai to vahi valu me koi fault hi ya vo resistance silver point short ya crash bhi ho sakta hai isliye use kaise repair kare . iski janakri niche point to point di gayi hai follow kare .

13.     Ab jab aap value check karege to jo point multimeter me reading show nahi kar raha hai us point per ek jumper lagana hai or ek jo resistance me value show nahi ho arhai hai use jumpaer karna hai .

14.     Yaneke jo point aapko diye gaye hai un point ka use aap jumper ke liye kar sakte hai tik point ya tik jo bhi ek resisitance kharab ho ya short ho ya damage ho use nikal dena hai ya jumper ke jariye repair karna hai .so jo resistnce kahrb hai ya value nahi de raha hai tik uske samne jo silver point hai usper aapko jumper karna hai yaneke resistance or point ko ek jumper wire ki help se joind karna hai taki resistance ki value us point tak pohche or mobile ki light fault solutions repair ho jaye .
display fault oslutions


15.     Ab point ko check karne per jo bhi resistance kharab ho  use direct karna hai jaise maine image me bataya hai .


16.     Aapko ek jumper wire lena hai or jumper wire per jo insulace pad lagi huvi hai silver color me use uper se crash kare matlabtambe ke color me lana hai uske baad jumper karna hai .aap niche image me dekh sakte hai maine jumper wire se ek sira point se lekar ek sira resistance pe jumper kiya hai .

mobile display light fault repair full guide

17.     Ab iron mashine le or jumper wire ka ek sira resistance ke  samne vale point per lagaye or dusra sira resistance ke left ya right per lagaye jis side se raedind nahi show ho arhe hai us side se jumper ka ek sirs resistance per jumper kare images me dekhe .

18.     Ab jumper ho janeke baad multimter se check kare ki value aa rahi hai ya nahi jaise humne uper value check ki hai vaise hi apko check karna hai .

19.     Jumper ho jane ke baad mobile ki battery lagaker dekhe ormobile ko open karke dekhe aapka mobile ka display fault solutions solve ho gaya hoga . jab kisibhi andorid mobile me light blue display fault aye to aap is tarah se step ko follow karke display ki lighting p[roblems ko solve kar sakte hai .

20.     Agar aapko is post me kuch bhi samaj me na aye ya aapka koi sawal hai to hume comment ke jaruye bataye aapki help jarur ki jayegi .

I hope ki aapko “ mobile phone ke display fault ko kaise repair kare “  ki jankari jarur acchi lagi hogi or muje ummid hai ki aap hamare content ko jarur share karege .aise hi mobile fault or computer se related fault ke bareme share karte rahege tabtak ke liye agle post ka wait kare full mobile repairing guide in hindi mobile ,computer repairing course is hi website per share karte rahege blog ko like kare share or site ko subscribe karna na bhule kyuki aise hi post aapke liye lekar aate rahege .

Tanks for read my tutorial...


 Tag : “ mobile ki display light solutions “
           “mobile phone ke display light white blue display problems kaise tik kare “