Hello dosto bahut day ho gaye hai maine koi bhi post nahi ki thi magar ab aapko regular post share ki jayegi .or sabse acchi baat hai ki adsense accont approved ho gaya hai muje bahut khushi hai ki adsense ke liye meri site like me hai  .iskiye mai adsense team ko thanks kehta hu or ajse new blogging ki or badta hu  mera ek hi sapna tha ki mai bhi google se paise kama saku or mera sapna pura hone ja raha hai thank you very much google . Ajse mai new jivan suru karna chahata hu or aj mai aapko

"mobile phone ke network section ko kaise repair kare "

 ki sari janakri detail me  denewala hu jo ki nrteork section ke bareme jada post nahi ki gayi hai magar aj mai aapko network ke ic or kaha lagi hoti hai konsi ic kya work karti hai sabhi janakri wj mai aapko is post me denewala hu .
mobile repairing ke liye kin kin tools ki jarirat hai janiye hindime


     So aj mai aapko mobile ke un sabhi ics ke barme batauga jo network section me hoti hai abhi to mai aapko unki pahechan bata raha hu agli post me aapko photo ke sath batauga ki konsi ic kaha hoti hai or kya work karti hai is post me bhi batauga koi tention mat lo aap dhire dhire mobile repairing karne me expart ban jaoge. so chaliye ic ke naam  aapko bata deta hu.

1. Sabse upar jo hota hai  vo hota hai "antenna switch "

mobile network switch antenna ic
jo havame koi bhi network ho chahe vo idea ka ho vodafone ka ho ya uninor company ka network ho kisibhi network ko pakde rakhneka kaam ANTENNA SWITCH ke jariye hota hai . mai aapko agli post me batauga antenna switch kaha laga hota hai abhi aapko photo dikha raha hu agli post me mobile ke pcb body me kaha hota hai sabhi jankari aapko mil jayegi.

also read:  daed mobile phone ko kaise repair kare

pcb part mobile phone

2.PA IC

3.RF IC
4.RX IC
5.VCO
6.TX IC
7. CRYTAL
8.AUDIO IC/power ic

2. computer ke no dislay kaise repair kare



    So aapne upar me ic ke naam to pad liye hoge ab mai aapko inke bareme jankari share karne ja raha hu or dhyan lagakar puri post pade or comment me thanks jaroor likhe  .
Pa ic :
network pa ic
  Iska kya kaam hai jo antenna switch network ko pakadta hai un network ko transmission karne ka kaam "pa ic " karti hai . Maanlo agar PA IC  me koi kharabhi hai to is tarah ke problems network section me aw sakte hai example ke liye : SIGNAL DROP 2. NO NETWORK OR ACCESS
3. BATTERY LOW QICKELY YA FIR aapka phone heat bhi ho sakta hai
So aise problems show ho sakte hai .


3. RF IC :



mobile network repair rf ic
  RF ic ka kaam hota hai  netwoork ko lena or network ko bhejna yaneki lena or dena ye dono kaam rf ic karti hai isliye is ic ko MAIN IC mana jata hai network section ke andar kyu mana jada hai main kyuki JO VCO IC HAI CRYTAL HAI inko control karneka kaam rf ic ka hota hai or direct cpu ke sath rf ic ka connection hota hai isliye agaar koi problems aye bhi to rf ic ko check karna chaiye . Aap photo me rf ic ko dekh sakte hai .

also read: mobile ka mic problems kaise repair kare


4. VCO (VOLTAGE CONTROLL Oscillator)
network vco ic
 Vco ic rf ic ki main hota hai matlab ekmekse jude huve jaise hamare awj ko bahar bhejna yaneke awajj ko convert karna matlab ac sound ko dc me convert karna ac or dc ke bareme bhi aapko batuaga so isaka or bhi kaam hai mai aapko aglli post me batauga.

 5. Crystal ic :

                  Crystal ic ka kaam hai ki vco ic ko controll karna yaneki agar hamara awaj slow hai matlab slow sound and big sound isko controll karneka kaam ctystal karta hai maan lo maine ek mobile liya or aapko call kiya or maine aapko big sound me baat ki to aapka kaan hear fatt bhi dakta hai matlab speakar fatt sakta hai isliyr crystal ko banaya gaya hai ki vo vco ic ko controll kar sake. Crystel ic anteña switch ki tarha dikhai deti hai aap upar photo me sekh sakte hai.

also read: mobiles phone ki tools information 


            So aaapko itane ic ke bareme maine bata diya or audio ic ka kaam to aapko pata hi hoga sound so ab mai aapko diagramm ke jariye bata deta hu ki betwork section kaise kaam karta hai .


Network section diagramm :

         
network section ic
Aap diagramm  me dekh sakte hai ki sabse upar ek plastic ka tukda hota hai uske neeche antenna switch hota hai jo upar ka patila hota hai usko dimag nahi hota matlab vo koi bhi network  pakad leta hai hawa me jitane network hai un sabhiko pakad kar abtenna ke pass lata hai antenna ke pass hokar RX IC ke pass jata hai rx ic rf ic ke pass signal bhejta hai or un signal ko controll karneka kaam vco ic ot crystal ic karti hai uske baad rf ie pass se signal audio ic me jada hai uske baad


Bahar sunai deta hai matlab sound hamko sunai deta hai . Ab ye huvi network aneki janakri ab jo network mobile ko nahi chaiye vo aap dekh sajte hai maine rrd isme bataya hai ki ji signal mobile ko nahi chaiye vo kaise bahar ki or ja raha hai matlab bahar or andar ki kriya network section ke andar chalti rehti hai aap diagramm ke jariye acchese samaj sakte hai ki kaise network pass hota hai or kaise network bahar jata hai .

      I hope dosto aapko ye jankari acchi lagi hogi ,agle post me aapko detail me batauga ki mobile phone me kaha ic lagi hoti hai or kis tarah se network problems ko solve kiya jata hai abhi aapko ic ki janakri or pahechan batai gayi hai so hamare site ko like kare ,share kare, subcribe kare , fir milege dosto ek nayi post ke sath tabatk take care...


Thanks for read my tutorial.......