Mobile phone ki shorting dc power supply se kaise check kare .




     Hii friends ,ajke topic me humjanege “  mobile phone me jo shorting problems hai use dc power supply se kaise repair kare “.
So ajak topic bahut hi important hai kyuki agar aapke pass koi bhi mobile repairing ke liye ata hai ya dead condition me ata hai to us mobile ko kaise  dc power supply  ke help se repair kar sakte hai or mobile ke fault solution tik kar sakte hai .maine aapko pichle post  me bataya hai ki kaise aap on off switch ko tik kar sakte hai kaise aap mobile ko software ke jariye tik kar sakte hai .so aj mai aapko aisi janakri share karne ja raha hu jisse aap koi bhi company ka mobile ho aap asani se mobile ko dc power supply ke help se  trace kar sakte hai .


       Aapke pass koi bhi company ka mobile repairing keliye aye chahe vo  anroid companuy ka ho ,iphone ho,blackberry ho ,ya china mobile ho keypad mobile ho,nokia ,samsung,mixromax,lenovo,oppo,intex koi bhi company ka mobile ho  aap use asanise trtace bhi kar sakte hai or us mobile me kya fault hai aap check bhi kar sakte hai .so chaliye dekh lete hai ki kaise “ mobile ko dc power supply se repair kare check kare “.


How to repair mobile phone dc power supply .


1.     Sabse pehle apko us mobile ko trace karna hai ki kahi mobile phone water damage to nahi hai ya mobile girkar crack to nahi ho gaya hai ya koi part to damage nahai hai ya fir aap grahak se bhi puch sakte hai ki mobile me kya fault hai or mobile kaise band ho gaya .uske baad aapka kaam hoata hai ki mobile ko achese trace karna ki jo mobile aapke pss hai usme kya fault ho sakta hai or aap use kaise repair kar sakte hai .

2.     So maan lijiye aapke pass koi bhi ek anyone company ka mobile hai mere pass ek maxx ka mobile hai simple sa keypad vala or mai use aapko check karke batauga .

3.     Sabse pehle  dc mashine ko le lijiye .

4.      Dc power ko on karle uske bad aap dekhege ki dc supply me aapko left side me  current show karega or right side me voltage  show karega .

5.     So aap jab bhi koi mobile dc power supply se connect karte hai to dc mashine me aapko current batayega left side me or vo cureent kitna hona chaiye or use kaise trace kare mobile ko sabhi all detail me aj mai aapko batauga so dc ko on karle ek mobile ko lele .

6.     Ab dc power suply mashine ko on karne ke baad hume mobile ko on karne ke liye  3.7 volt ki jarurat hoti hai . so niche jo controller ka button diay huva hai use aap right dise me firaye . or 3.7 volt set kare .
dc power supply se mobile ko kaise check kare


7.     Mobile ko dc supply se check karne ke liye aap mobile ko on karne ke liye 3.7 se lekar 4.5 tak voltage set kar sakte hai uske uper dc ka voltage set na kare use aapka mobile damage bhi ho skat hai magar abhi aisa nahi hota hai aap isme koi galti bhi kar lete hai to dc supply mashine apne aaap band ho jati hai so no tention .

8.     3.7 per set karne ke baad dc power supply ki 2 probe hai aap dekh skte hai un 2 probe me ek  red hai or ekblack hai .

9.      Ab ek mobile le lijiye ab maan lijiye aapka koi bhi obile full short hai to dc ke red vali probe mobile ke battery connecter per connect karna hai jsie red vali probe + plus per connect kare or black vali probe – minus  per connect kare .

10.   Ab aap jab red plus  per or black probe mius se connect karege to  connect karneke baad agar mobile me beep sui..... aisa avj ata hai matlab beep ka sound ata hai or dc power supply me dono side me current or volatage 0000 ho jata hai to maan lijiye aapka mobile full short hai .
mobile ko dc se connect kare

11.   Ya fir aisa bhi ho sakta hai jab aap dc ke red vali or black vali probe ko mobile ke battery ke minus or plus pwer lagayege to mobile auto on ho jayega matlab red button ya mobile ka power button nahi dabane per bhi mobile  apne aap on ho jaye to maan lijiye aapke mobile me jarur koi na koi fault hai or apne aap charging hone lagegi ya mobile phone hit hone lagega jisse apko asily pata chal jayega ki mobile phon me shorting hai.

12.   Maan lijiye aapke pass nokia  company ka mobile hai or nokia mobile ko jab aap dc power supply se check karoge to iski process alag hai jaise mai niche step bata raha hu maan lijiye aapne ek nokia mobile dc se check karne ke liye liya hai ab aapko dc mashine ke 2 probe ko nokia mobile se connect karna hai to dc mashine ki ek probe red vali plus per lagaye or black vali probe ko bsi or minus per connect kare  tabhi aap mobile phone ko repair kar sakte hai .

dc se nokia mobile ko check kar sakte hai .bsi or minus eksath dc ke probe ko lagana hai or red vali only plus per connect karna hai so agar samaj me na aye to aap comment me puche aapko clear tarike se bataya jayega .




13.   Ab nokia mobile ko connect karne baad dcmashine me dekhe ki voltage kitana hai or current kitana hai agar current kuch bhi nahi show hota hai or voltage aapne choose kiya huva hi hai to samaj lijiye aapke mobile me koi bhi fault nahi hai .yaneke mobile sahi hai mobile on nahi ho raha hai or na hi hit ho raha hai or na hi beep ki avaj de raha hai na hi current show kar raha hai to aapka mobile tik hai aapke mobile me koi fault nahi hai .

14.   Ek tarika or bhi mobile ko jab aap dc mashine se connect karoge jaise maine uper  tarike bataye hai vaise hi aapko folow karna hai maan lijiye aapne mobile ko dc se connect kiya hai or mobile on nahi ho raha hai to ab red button dabaker on kare ya anroid mobile ho to power button press kare or mobiile ko on kare ab dekhe ki mobile open ho raha hai agar hioo raha hai to mobile me koi fault nahi hai or mobile on nahi ho raha hai or dc mashine me only current show kar raha hai jaise 5 se lekar 6 tak cureent show kar raha hai or mobile on nahi ho raha hai to mobile me  software problems hai .
dc supply mashine check mobile dead problems


15.   agar mobile on ho raha hai or bich me se hi band ho gaya hai matlab blank show karke ya start hote samy mobile ka logo hi show huva hai or mobile firse off ho jaye to maan lijiye aapke mobile me  software problems hai . isliye us mobile ko software ke liye check kare or humne software se mobile ko kaise repair kiya jata hai uski janakri bhi pichle post me batayi hai .

16.   ab dekhte hai ki koi bhi mobile phone dead ho to use kaise repair kare .


dc power supply se mobile ke part ko kaise check kare trace kare .


·        sabe pehle mobile phone ke battery conecter se dc mashine ke probe ko laga de jaise maine uper aapko btaya hai .

·        ab dc mashine mobile se connect karne ke baad use kaise trace karna hai matlab mobile ke componts ko kaise trace karna hai so dc lagane per apke hand ka koi bhi  finger   lele or sabhi componts per firaye yaneke ek ek mobile ke part ke componts ko fingar lagaker check kare agar koi bhi mobile ka componts hit hota hai ya garam hota hai to maan lijiye us componts me us mobile ke part me kharabi hai fir vo componts capaciter ho sakta hai ,diode ho sakta hai,fudge ho sakta hai ,ya ic ho sakti hai aise jo bhi componts hit kare use bahar nikalna hai or use check karna hai .agar vo componts sahi hai to use firse vahi jagah per laga de .ab dusra tarika hai .


·        jab bhi aap mobile ko trace kare to jo componts hit de raha hai jo part garam ho raha hai aisa nahi hai ki vahi part short ho uske baju vala ya bagal vala part bhi short ho sakta hai isliye jo part short hai use na nikale aap uske aage ka part short ke liye  check kare  kyuki agar agala componts kharab ho to dusre vale componts per load ata hai isliye jo part hit de raha hai use check nakarte huve aap uske aage vale part ko check kare .

·        aise process me aapko multimeter ki need hogi jisse aap agle componts ko check kar sakoge . iski janakri bhi apko dege magar aap sabse pehle jo componts hit de raha hai use mobile se out kare or use multimetr se check kare kisibhi mobile ke part ko check karne ke liye aap jada se jaad  multimeter ko continuty per set kare or ek probe ko ground se connect kare or ek probe ko us componts se connect kare jo hit ho raha hai yaneke aapko componts ke ek side se multimetr ki probe lagana hai or

 ek probe gorund se connect karna hai  aise aap kisibhi part ko multi ke jariye check kar sakte hai magar isake bhi kuch rules hote hai jaise capaciter ko check karene keliye kitane volt per multio ko set karana hai ,diode ko check karne ke liye kitne volt per multi ko chekc set karna hai iski bhi janakri aapko dege so comment kare .kyuki hume bhi pata hona chaiye ki kitane logo ko hamare post ki need hai.

·        So jo part hit ho raha hai use nikale check kare agar jo hit de raha hai vahi kharb hai to aap use nikal de or uske jagah koi new componts lagaye .ab mobile ko open karke dekhe aapka mobile phone on ho jayega .abhi aapko dc se mobile ko kaise check kare kei janakri di ja rahai hai isliye dc suply ke bareme deep me raed kare . sab samj me aa jayega .


·        So aapke pass koi bhi mobile aye repairirng ke liye chahe vo anroid ho ya  blackberry ho koi bhi company ka mobile ho aapko maine uper  jo tarike bataye hai un step ka use karke aap koi bhi mobile ko asani se trace kar sakte hai or dc power supply se check kar sakte hai mobile ke konse part me fault hai .

I hope friend aapko ye post jarur acchi lagi hogi .  aapke liye aise hi post hum lekar aate rahege bas ap aise hi hamare site per aate rahe aapko aise hi jankari “ mobile phone ko dc power supply se kaise check .repair kare “  ki  puri details me post share karte rahege agar aapko kuch samj me na aaye to comment bataye hum jald hi aapse contact karege or aapke problems ka solutions dege . so hamare site ke post ko share kare ,like kare,is site ko subscribe kare kyuki hum aise hi jankari aapke sath share karte rahege tabtak keliye thanks for rad my tutorial ....




 Tag : “ mobile phone ko dc power supply se kaise check kare “

       “ mobile ko dc mashine se kaise repair kiya jata hai full guide “.