Mobile phone repairing tools prices full guide.




Hii dosto aj mai aapko is topic me batane vala hu ki mumbai me aap ya fir pune jaise city me jo mobile phone repairing ke price hai vo kitane kimat ke hai . or ek badiya acchi mobile shop gallary lagane ke liye hume kitana kharch aa sakta hai so aj ke topic me hum janage “  mobile phone repairing tools ki prices and jankari”  

ALSO READ : * MOBILE PHONE DISPLAY LIGHT FAULT SOLUTIONS 
                                      * DEAD MOBILE PHONE KO KAISE REPAIR KARE
                                       * MOBILE PHONE BOOTING FAULT SOLUTIONS 
                                      * ANDROID MOBILE PHONE CHARGING FAULT SOLUTIONS KAISE THIK KARE

so agar aapko pata nahi hai ki mumbai me aap bahut hi sasta ya low price me mobile repairing ki assesories ko asani se buy kar sakte hai or aj mai aapko un duplicate repair tools ki janakri nahi duga mai aapko jo company ke models hai jo aapke pass salo saal work karna chaiye aise componts tools ke price ki baat karne vala hu so aap image me dekh sakte hai or konse tools ki kitani kimat hai aap dekh sakte hai.


   Mai niche jin tools ke bareme baat karne vala hu  un tools ke jairye aap koi bhi or kisibhi company ke mobile phone ko asanise repair kare sakte hai. Aisa nahi hai ki aap android ya lollipop.oppo.viva jaise mobile phone ko repair nahi kar sakte ye tools aapko sbhi mobile phone repairing me use karne ko milege or 

garnteed ye tools bahut hi tikege kyuki mai aapko company ke tools ke bareme jankari share karne jaa raha hu so chaliye der kis baat ki hai dekh lete hai konse tools kio kitani price hai mumbai or puna me same hi price hai bus thoda hi different so aap vaha jakar price low upper kar sakte hai.

Mobile phone repair tools prices guide.


1.     Separator  machine


mobile phone tools



Separator mashine aapko 2000 se ,lekar 8 thousand tak bhi ata hai ye aap per depend karat hai ki aap kitane badiya tarikese or ktane money me machine ko buy kar sakte hai. Separator machine ka use aap kaise kar sakte hai isake bareme mai aapko agle post me jarur 

batauga.markket me agar aap separatoe machine lene ko jate hai to aapko 2 se 8 hajr tak mil jana chaiye .agar aap original separator machine lena chate hai to aapko e accha 6 se 700 hajar tak maxx company ka separator machine mil jana chaiye kyuki maxx companies ke part market me availabe hote hai.



2.     Glue  remover wire
   So glue remover aapko  market me 50 rupe tak mil jana chaiye vo bhi achese accha ye wire bahut hi badiya hai aap ise easily use kar sakte hai.better glue remove karne ke liye aap is wire ka hi use kare .

3.     Glue removal blade

Removal blade aapko market me  150 rupye se lekar 200 se 300 tak mil jana chaiye jo ki behtar company ka hota hai. Display per jo glue laga hota hai use hum asani se remove kar sakte hai so aapko ye market me bhaut easi;y mil jana chaiye.

4.     Uv glue  dryer lamp
       
         
price on 700 to 8000



Uv glue  dryer lamp jo hota hai aapko 700 rupye se 8000 hajar rupye tak market me mil jana chaiye isak use tab hota hai jab maan lijiye humne koi display per glue daal diya hai or us fit pakdne ke liye is uv machine ka use kaiya jata hai. Vaise to bahut sare types ke glue machine available hai market me aap asanise jiatnae money hai utneme buy kar sakte hai.


Uv lamp ko aap 350 se lekar 1300 tak bhi le sakte hai aap ache vala lamp lena chahte hai to aapko 1300 rupees tak ek accha lamp mil sakta hai.


5.      Ultrasonic cleaner

       
price 900 to 4000


    Uiltrasonic cleaner aapko only on 900 rupees se lekar 4000 rupees tak mikl jana chaiye .is mashine ka use aap mobile phone me jo iron laga huva hota hai ya dhull lagi huvi hoti hai usko clean karne ke liye aap is machine ko buy kar sakte 
Hai.

matlab aap is ultrasonic cleaner ka use jab koi bhi mobile phone water me damage ho jata hai tab mobile phone ko is machine andar daalkar or  ip adress ya elmaa liquid  ka use karke ye mashine pcb ke pure problems ko clean karti hai.matlab aapko brush se clean karne ki jarurat hi nahi padegi .

6.     Blower

   So blower  aapko market me 50 rupse lekar 30 rupye tak mil jana chaiye blower ek air hai jab hume ise uper se press karte hai tab isake andar se air bahr nikalti hai.

7.     Elma

    Elma  market me aapko 200 ml ka elma market me 30 se 40 rupye tak mil jata hai. Is elma ka use mobile phone panime water me damage ho jane ke wajah se is elma ka use kiya jata hai. Jab aap pcb per elma ko faila te hai tab ye elmaa pcb ke part kenadar jakar water ko bahr nikalta hai. Or uske baad hit dene per mobile phone thik ho jata hai 50 % mobile phone elma se clean karnese hi thik ho jate hai isliye achese accha elma ka use kare .



8.     Hair dryer
           
price 400 to 2000




   Hair dryer  apko market me 450 se lekar 2000 rupye tak mil jana chaiye vo bhi ek acche company ka jo ki aapko salo saal kaam me aye  so agar aap hair dryer ko buy karna chahte hai to aap www.aliexpress.com se bhi buy kar sakte hai ya fir www.amazon.in per se bhi buy kar sakte hai.


Hair dryer ka use aap abhi jo market me android ya iphone vaialable samsung note 3 aise mobile phone ki fitting display ke side se hoti hai so us display ko achese savdhani se remove karne ke liye hume hair dryer machine ki need hoti hai .


9.        Vacuum opener
         
price 100r to 120r


   Vacuum opener  aapko market me 100r tak mil jana chaiye isaka use mobile phone ka jo display combo hota hai usko remove karne ke liye hota hai or aap asani sekoi bhi display ko is oopenr ki help se asanis enikal sakte hai.

10.                         Battery booster
Jhatka machine ka use aap  dead battery ko repair karne ke liye kar sakte hai maine ek battery repair ke bareme post bhi ki hai ki aap battery booster ka use kaise kar sakte hai or battery ko repair kar sakte hai. So aapko battery booster market me 120 r se lekar 150 rupye tak mil jana chaiye.

11.                         Bga soldring paste
   Bga ka use aap ics ko rebolling karne ke liye kar sakte hai.100 g aapko market me 180r tak mil jana chaiye so maine ic ko kaise reboll kare uske bareme bhi post share ki hai aap read kar sakte hai.

12.                         Smd machine (hot air gun)
             
                  
price 2000 to 3000


Hot air gun aapko market me 1700r tak mil jni chaiye agar aap maxx company ki lena chahte hai to aapko smd machine 2700 se lekar 3000 rupye tak mil jani chaiye. Smd mashine ka use aap mobile phone ke pcb [per jo small small part ics lage hote hai unko remove karna or firse lagana iske liye use hota hai .

13.                         Dc power supply

            
price 1800 to 2400


Dc power supply ka use aap mobile phone ke nadar jo bhi shorting hai ya koi dead mobile phone hai uske componts tarce karna or repair karna ya mobile phone ki shorting ko check karne ke liye hota hai.maine dc suppy ke bareme bhi pot  ki hai aap read kar sakte hai.dc power supply aapko market me 2300 se lekar 2700 tak maxx ki badiya company ki mil jani chaiye .jo ki mobile phone repairing me bahut hi jada mine rakhti hai.



 Note : jo mobile repairing ke small part hai jaise twiizzer 20 ru. Soldering paste 30 ru,scrue dryver 150 ru ,mobile phone openr 30 ru, soldring iron machine 200 ru,aise small componts ki janakri price aap market me bhi jakar pata laga sakte hai . maine aapko main main tools ke bareme bata diya hai ab aap is tarah se koi bhi tools ko buy kar sakte hai.



 I hope ki aapko hamara ye article jarur accha laga hoga or aap hamare post ko socail media per share karege aapke liye aise hai “  mobile phone repairing tools ki jankari prices ki jankari “  share karte rahege tabtak ke liye dhanywaad .......