android mobile phone auto restart problems kaise solve kare(perfect mobile repairing solutions).

  


     hii friends, ajke topic me hum janege “mobile phone ke auto restart problems solutions ko kaise repair kare”.  agar aap bhi mobile repairing karne me intress rakhte hai to bahut achhi baat hai mai aapko sikhate sikahate khud bhi bahut sikh chuka hu or i am sure aap bhi ek acche technician ban sakte haiaap bhi meri tarah or mere students ki tarah mobile repairing course karke  online mobile repairing course  sikh karke acche paise kama sakte hai. agar aapko mpbile shop kholni hai to aap khol sakte hai kyuki humaapke sabhi sawal or all mobile part repairke bareme details me batane vale hai.




   so jab koi bhi samsung mobile phone,sony mobile phone,note 3 smartphone,samsung galuxy,nokia,oppo ,lenovo mobile,viva mobile koi bhi mobile phone ho unko repair karne ke liye ab aap online internet ki help le sakte hai. so jab mobile phone me  auto restart problems ati hai chahe fir vo mobile koi bhi company ka ho jo mai niche tarike bata raha hu unko read karke aap koi company ke mobile ko auto resart problems repair kar sakte hai.

   jab mobile ka power button on karte hai tab display screem me only company ka logo dikhai dena jaise samsung,nokia,karbonn,sony aisa mobile name screen me show hota hai or firse baar baar vahi logo dikhai deta hai yaneke mobile phone open nahi hota hai or only logo dikhi deta hai tab aise mobile ko kaise repair kiya jata hai kaise trace kiya jata hai uski jankari aj mai aapko is post me dene vala hu. 

ALSO READ :
                            * MOBILE PHONE CAMERA FAULT SOLUTIOSN KAISE THIK KARE


                                          * DEAD MOBILE PHONE FAULT SOLUTION BEGGINERS GUIDE

                                          * MOBILE PHONE DEAD BATTERY FAULT SOLUTION 
                                           *  MOBILE PHONE DISPAY FAULT SOUTIONS

     jadatar aise fault mobile phone ka power button short hone se ya kharab hone se hote hai ya fir power ic me bhi fault ho sakta hai, ya fir mobile phone ke paralall part me componts me bhi koi fault ho sakta hai jisse mobile on nahi hota hai.  so chaliye is problems ko kaise repair kare, auto restart problems ko kaise tik kare “ auto restart problems solutoins”battery lagate hi mobile phone on /off hota hai aise fault kaise repair kare, mobile phone kaise repair kare ki full jankari is post me dene vale hai carefully read kare.

mobile phone ke auto restart problems solutions, (repair auto restart mobile fault).


1.     sabse pehle aapko mobile phone ko open karna hai savdhani se mobile phone ko open kare. or jo bhi nuts part hai unko tik se chumbak ya kisi safe jagah per rakhe.

2.     ab mobile open karne ke baad apko tik se trace karna hai maine aapko uper bhi bataya hai jab aap mobile me battery lagate hai tab mobile phone power button na dabane per bhi apne aap on ho jata hai or only mobile ka logo hi show hota hai aage mobile open hi nahi hota hai tab aapko power button repair fault ke liye hi mobile ko chekck karna hai.

3.     kyuki aise fault  jadater tabhi ate jab koi mobile ka power switch ya button short ,kharab,damage ho jata hai.

4.     so mobile open karne ke baad  sabse pehla kaam hai mobile ke power button ko check karna power switch per 2 contact lage rehte hai, usme se ek contact ground se juda huva rehata hai or ek contact me resistance reading show honi chaiye.



5.     so multimeter ko beep ,buzzer  ke range me set kare .

6.     multimeter ke red probe ko ground se connect kare , blackprobe se un 2 contact ko check karna hai . ab pehle vale point per black probe ko lagaye agar ground ke sath beep aata hai to ek point to ground hi hota hai ab dusre point ko check kare black probe ko dusre power buton ke point per lagaye jaise image me 2 contact bataye gaye hai.

7.     agar dusre vale contact me point me bhi beep ki awaj aa rahi hai to samj lena hai ki aapke power button me hi fault hai aapke mobile ka power button hi short hai. un 2 contact me agar  dono point per beep ki awaj ati hai to power switch hi kharab hai so mere pass jo mobile hai usme bhi dono side beep aa rahi hai ab aapko kya karna hai. ek or baad agar 2 point me se ek point me reading ati hai multimetr me to power switch tik hai usme koi fault nahi hai.
auto restart problems solutions


8.     jab power button tik ho tab aapko “mobile auto restart problems ke liye” power ic ko check karna hai.

9.     so abhi to power switch me problems hai to use kaise repair karna hai.

10.                        smd mashine ko on kare or power button ko vahase remove karde uske jagah per aap new power button bhi laga sakte hai smd ke jariye power button per paste lagaye or hit dekar power button ko nikale uske jagah new power button smd ke help se ya iron ke help se jumper ke jariye power switch button ko replace kare.

11.                         power button ko mobile pcb body se nikalne ke liye smd  mashine ko 4 se 6 air per set karna hai. maine smd mashine ko kaise use kare ki jankari share ki hai ap read kar sakte hai.

12.                        new power button lagane per “auto restart problems  solve ho jayegi.  magar new power switch available na hone per aap kya kar sakte hai.

13.                         powerswitch ke samne hi resistanse ya capaciter hoge  unko beep ke range me check kare resistance ya capaciter ke jis side se
mobile se power button remove kare
500 ke uper multimeter me reading show ho rahi hai us side se ek jumper wire lekar ek side jumper kare, ek jumper wire ka contact vahi jumper wire ka ek sira power switch ke ek contact poin se jumper kare. image me dekhe  ab multimeter ko beep ke range me set kare. power switch button ko meter ke help se check kare power button per ek point me reading show hoge or ek point per beep sound aayega yaneke auto restart problems repair ho gayi hai mobile phone auto restart solutions tik ho jayega mobile ko open karke dekhe. aapke mobile ki auto restart problems solve ho jayegi.

14.                         agar new power swich nahi hai to  aap kisi dead mobile phone ka power button remove karke dusre mobile phone me laga sakte hai.  kisi dead mobile phone ka power switch lagane se pehle us power butto ko bhi check karle uske baad hi mobile me lagaye replace kare.

 so aap is tarh se koi bhi mobile phone ko auto restart problems ke liye check kar sakte hai auto restart mobile phone ko repair kar sakte hai.




i hope ki aapko “ mobile phone ke auto restart problems ko kaise repair kare”  ki jankari acchi lagi hogi or mai ummid karta hu ki aap mere mobile repairing se related post ko socail share media per jarur share karege. agar apko aise hi post choiye to ap coment me bataye ki aapko ye post kaise lagi jab aap comment karte hai tabh hamko bhi post karne me intress aata hai or hamari koi galti hoti hai to aap hame coment box me sujao bhi de sakte hai, so is site ko subscribe kare, like kare, share kare, thanks for read my article....