mobile phone accessories tools ki jankari.



   hello dosto aj mai  aapko  mobile phones repairin tools ke  bareme  batane wala hu. kyuki maine pehle bhi ek post ki hai magar 
abhi or aise tools hai jo aap nahi jante jinke bareme aapk jankari nahi hai magar aj ki post padkar aap sabhi "mobile repairing tool" ke bareme jan lege.





mai ye post isliye likh raha hu ki koi bhi new visitors or old visitors ko pata hona chaiye ki mobile repairs karne ke liye kin kin cheejo ki tool ki need hoti hai.  so chaliye dekhte hai kis tool ka kya name hai kis kaam ke liye use hota hai.  "mobile phone ke tools ki jankari".

1. sabse pehle jaan lete hai

mobile iron
soldering iron ke bareme jo ki aap upar photo me dekh sakte hai jisse technology ke bhasha me soldering a iron kehte hai aap 2 iron dekh rahe hai jo machines hai ek 12 volt ki soldier iron hai or ek 35 volt. ki hai. or jo soldering iron pin hai usse soldering pen hai. jisake jariye hum kisibhi mobile me soldering  karte hai. so aapko pata chal gaya hoga iron ke bareme or jada jankari ke liye comments kar sakte hai.

2. soldering wire

sold wire
 soldering wire ke bareme aap to jaan te hi hoge jo mobile ne connection lagane ke liye kaam ata hai aap photo me dekh sakte hai. uske sath hi jumper wire bhi hota hai jo maine aapko post me bataya tha so chliye.

3.nailpolish, jackpaist, filmpaist

nailpolish ka use hum jab kisi mobile ko connection jodte hai or use majbuti dene ke liye is nailpolish ka use kiya jada hai maan lijiye aapne mobile ke charging connection ko jumpar kiya hai or vo dubara nikal na jaye fit or fix vahi majbuti se rahe to aapko nailpolish ka use jaroor karna chaiye. so aapne  isake bareme bhi jaan liya  dusre tool ki or badte hai.


4. mobile phone pcb tool.

mobile stand
 pcb ka tool bahut ho importance hota hai kyuki mobile ke pcb body ko pakade rakhne ka kaam mobile stand karta hai jab aap kisi ic ko sold katte hai ya battery connecter ko sold karte  ho tab mobile ko isake andar fit karke koi bhi work karna chaiye jisse mobile ke kisi or component ko nuksan na pahuche.

5. mobile open drivers

mobile phone drivers

 inka kaam hota hai kisibhi mobile ko open karna matlab pcb ke body par lage huve
 nuts ko kholna.  inme alag alag naam or prakar hote hai jisse aap photo me dekh sakte hai inke 4 prakar hote hai ek PLUS SCRUE, T5, T6, +,  AISE char naam hote hai jisse aap mobile phone ko open kar sakte hai.

6. opener ya sector

sector
 openar ka kaam hota hai ki mobile. phone pe jo body hai usko kholna open karna kabhi  kabhi aisa hota hai na ki nakhun na ho to mobile phones kholneme dikhat hoti hai isliye inka use kiya jata hai.

7. files
iron file
filrs yaneke ek tambe ki patti hoti hai jisse him file kehte hai iska kaam hai jab bhi soldering pen par iron aa jata hai ya jing lag jata hai to soldering pen ko files par ghosane par pen saaf ho jati hai.  sabse jada use mobile phones repairs me soldering iron or jumpar ka hi hota hai Or Or inko achese dekhe samje or mobile phone repairing karna online sikhe.

8.  thinner or elmaa

mobile thinner clean
 thinner or elmaa ka use tab hota hai jab kisi mobile me dust jada ho ya iron ki wajah se mobile band ho gaya ho ya moisture ki vajah se mobile band ho gaya ho short ho gaya ho to aapk aapko thinner ka or elmaa ka use karna chaiye jisse mobile phone pcb ko saaf kiya jada hai or mobile ke pcb me jo bhi problems hai tik ho jati hai.

9.ELMAA

elmaa mobile
 elmaa ek bahut hi badiya liquid hai jisake madat se hum water damage mobile or carbon chad janeke vajah se mobile band ho jate hai isliye elmaMBa ka use water damage mobile ke liye karna chaiye iska use simple hai 4se5 bund dalo or mobile ko clean karo brush ki help se uske baad mobile open karke dekho problems solve ho jayegi.

10. DC POWER, RUBBRR, BRUSH, DOUBLE TEP
 aise bahut se tools hai jinke bareme maine aapko bata diya or jo components tools ke bareme aapko jankari nahi hai aap muje comment kar sakte hai.


ALSO READ : * MOBILE PHONE IC FAULT SOLUTIONS KAISE THIK KARE 

                                      * MOBILE KEYPAD FAULT SOLUTIONS 

                                      * MOBILE PHONE KEYPAD FAULT SOLUTIONS

                                      * MOBILE PHONE CHARGING FAULT SOLUTIONS

i hope dosto aapko ye post padneme maja aya hoga or jin tools ke bareme aap nahi jante hai uski bhi post maine ki hai aap pad sakte hai. aapko agli post ne ic ke bareme jankari dene wala hu is site par ate rahe like kare, share kare, subscribe kare.

thanks........